Tuesday, October 2, 2012

Ek Ghazal


Yunhi shabdon se do-do haath hum bhi kar lete hain
Teri yaad main ek ghazal hum bhi padh lete hain

Kuch pal the woh, jee unko hum aaj bhi lete hain
Tere kadmon ki aahat, jaan hum aaj bhi lete hain

Kya rang the tere, dooba pagla mann, satrangi badal aaj bhi hain
Adhure sapne tere, poore kar sakken aisi, khwahish aaj bhi hain

Teri muskurat, fida kar ishq, bhule aaj bhi kahan kuch hain
Teri chahat, bhula kar rabb, ek gulam-e-aam hum aaj bhi hain

Chale the saath, woh nishan, woh galiyaare aaj bhi hain
Teri yaadon main, ek ghazal hum padhte, sar-e-aam aaj bhi hain

© Narender Panwar